श्री महाकाल ऐसा वरदान दो | By Sanjay Chauhan |
श्री महाकाल ऐसा वरदान दो,
गुणगान तुम्हारा सुनाता रहूं,
संसार में जब जब जनम मिले,
तो महाकाल नगरी में आता रहूं,
श्री महाकाल ऐसा वरदान दों,
गुणगान तुम्हारा सुनाता रहूं ॥
किसी बगिया की डाली का फूल बनु,
तो महाकाल नगरी में खिलता रहूं,
किन्ही हाथों से तोडा जाऊं अगर,
शिव मंदिर में खुशबु उड़ाता रहूं,
श्री महाकाल ऐसा वरदान दों,
गुणगान तुम्हारा सुनाता रहूं ॥
संगेमरमर का कोई जो पत्थर बनू,
तो महाकाल मंदिर पे सजता रहूँ,
कोई पानी से मुझको धोया करे,
शिव मंदिर की शोभा बढ़ाता रहूँ,
श्री महाकाल ऐसा वरदान दों,
गुणगान तुम्हारा सुनाता रहूं ॥
गर सर्पो की योनी में जीवन मिले,
शिवजी के गले से मैं लिपटा रहूँ,
आठों याम ही सेवा करता रहूँ,
शिव मस्तक पे फन को फैलाता रहूँ,
श्री महाकाल ऐसा वरदान दों,
गुणगान तुम्हारा सुनाता रहूं ॥
गर क्षिप्रा सलिला का पानी बनू,
तो महाकाल नगरी में बहता रहूँ,
भक्त भर भर के गागर चढ़ाते रहे,
महाकाल के चरण धुलाता रहूँ,
श्री महाकाल ऐसा वरदान दों,
गुणगान तुम्हारा सुनाता रहूं ॥
शिव भोले के प्याले की भंगिया बनू,
शिव होंठों से मुझको लगाया करे,
गर भोले के हाथों का डमरू बनू,
शिव हाथों से डम डम बजाया करे,
शिव भक्तो पे आशीष बरसे सदा,
ऐसी अर्जी मैं शिव से लगाता रहूँ,
श्री महाकाल ऐसा वरदान दों,
गुणगान तुम्हारा सुनाता रहूं ॥
जब प्राण पखेरू ये उड़ने लगे,
इस तन को मेरे जब जलाने लगे,
भस्म भोले को मेरी चिता की लगे,
धन्य जीवन को अपने बनाता रहूँ,
श्री महाकाल ऐसा वरदान दों,
गुणगान तुम्हारा सुनाता रहूं ॥
श्री महाकाल ऐसा वरदान दो,
गुणगान तुम्हारा सुनाता रहूं,
संसार में जब जब जनम मिले,
तो महाकाल नगरी में आता रहूं,
श्री महाकाल ऐसा वरदान दों,
गुणगान तुम्हारा सुनाता रहूं ॥
Shree Mahakaal Aisa Vardaan Do | By Sanjay Chauhan |
Shri Mahakaal Aisa Vardaan Do
Gunagaan tumhaara sunaata rahoon,
Sansaar mein jab jab janam mile,
To Mahakaal nagari mein aata rahoon,
Shri Mahakaal aisa vardaan do,
Gunagaan tumhaara sunaata rahoon.
Kisi bagiya ki daali ka phool banu,
To Mahakaal nagari mein khilta rahoon,
Kinhi haathon se toda jaaun agar,
Shiv mandir mein khushboo udaata rahoon,
Shri Mahakaal aisa vardaan do,
Gunagaan tumhaara sunaata rahoon.
Sangemarmar ka koi jo patthar banu,
To Mahakaal mandir pe sajta rahoon,
Koi paani se mujhko dhoya kare,
Shiv mandir ki shobha badhaata rahoon,
Shri Mahakaal aisa vardaan do,
Gunagaan tumhaara sunaata rahoon.
Gar sarpon ki yoni mein jeevan mile,
Shivji ke gale se main lipta rahoon,
Aathon yaam hi seva karta rahoon,
Shiv mastak pe phan ko phailaata rahoon,
Shri Mahakaal aisa vardaan do,
Gunagaan tumhaara sunaata rahoon.
Gar Kshipra salila ka paani banu,
To Mahakaal nagari mein bahta rahoon,
Bhakt bhar bhar ke gaagar chadhaate rahein,
Mahakaal ke charan dhulaata rahoon,
Shri Mahakaal aisa vardaan do,
Gunagaan tumhaara sunaata rahoon.
Shiv Bhole ke pyaale ki bhangiya banu,
Shiv honton se mujhko lagaaya kare,
Gar Bhole ke haathon ka damroo banu,
Shiv haathon se dam dam bajaaya kare,
Shiv bhakton pe aashish barse sada,
Aisi arzi main Shiv se lagaata rahoon,
Shri Mahakaal aisa vardaan do,
Gunagaan tumhaara sunaata rahoon.
Jab praan pakheru ye udne lage,
Is tan ko mere jab jalaane lage,
Bhasm Bhole ko meri chita ki lage,
Dhanya jeevan ko apna banaata rahoon,
Shri Mahakaal aisa vardaan do,
Gunagaan tumhaara sunaata rahoon.
Shri Mahakaal aisa vardaan do,
Gunagaan tumhaara sunaata rahoon,
Sansaar mein jab jab janam mile,
To Mahakaal nagari mein aata rahoon,
Shri Mahakaal aisa vardaan do,
Gunagaan tumhaara sunaata rahoon.