परमेश्वर की न कोई काया | By Satyjit Jain
परमेश्वर की ना कोई काया।।
ना कोई आकर है।।
कण कण के वासी का जग में
पाया किसने पार है
परमेश्वर की ना कोई काया।।
ना कोई आकर है।।
बिन पैरों के चलता है वो
कानों बिन हर बात सुनी
हाथ नहीं दिखते पर जग के
लाखों करोड़ो काम करे
बिन सुई.........
बिन सुई बिन धागा नर तन
चोला ये तैयार है
परमेश्वर की ना कोई काया।।
ना कोई आकर है।।
पत्ता पत्ता कतरन न्यारी
बिन कैंची कैसे कतरी
अलग अलह शक्लों के ढाँचे
बिन सांचे कैसे उतरे
हर अफसर का........
हर अफसर का है वो अफसर
सबका वो सरदार है
परमेश्वर की ना कोई काया।।
ना कोई आकर है।।
Parameshwar Ki Na Koi Kaya | By Satyjit Jain
Parmeshwar ki naa koi kaaya.
Naa koi aakaar hai.
Kan kan ke vaasi ka jag mein
Paaya kisne paar hai.
Parmeshwar ki naa koi kaaya.
Naa koi aakaar hai.
Bin pairon ke chalta hai vo
Kaanon bin har baat suni
Haath nahin dikhte par jag ke
Laakhon karodon kaam kare
Bin sui.........
Bin sui bin dhaaga nar tan
Chola ye taiyaar hai.
Parmeshwar ki naa koi kaaya.
Naa koi aakaar hai.
Patta patta kataran nyaari
Bin kainchi kaise katri
Alag alag shaklon ke dhaanche
Bin saanche kaise utre
Har afsar ka........
Har afsar ka hai vo afsar
Sabka vo sardaar hai.
Parmeshwar ki naa koi kaaya.
Naa koi aakaar hai.