शिव भोले शंकर प्यारे | By Sanjay Chauhan |
शिव भोले शंकर प्यारे,
भक्तों के हैं रखवाले।
मन से जो इनको ध्यावे,
भव से ये पार लगावे।
देवों ने इन्हें पुकारा,
भोले विष पी गए सारा।
अमृत देवों को देकर,
दानव संहारे।
शिव भोले शंकर प्यारे,
भक्तों के हैं रखवाले----------
शेषनाग की रज्जु बनाई,
सुमेरु की मथनी फेरे।
देवता सारे मिलके,
सागर मंथन होने लगे।
अग्नि प्रकटि जल से,
विष्णु मथनी फेरते जावे ।
विष उबलने लगा,
तन भी जलने लगा।
विष्णु भगवान को आकर,
कौन बचाए?
शिव भोलें शंकर प्यारे,
भक्तों के हैं रखवाले।----------
हाहाकार मचा देवों में,
अमृत कैसे बचावे
न ये विष में ही मिल जावे
नारद ने आकर समझाया,
“जाओ शिव की शरण में,
शिव ही संकट सारा मिटावे ।”
सारे नमन करें,
शिव का ध्यान धरे।
शिव भोले विष से ना ये,
सृष्टि जल जाए।
शिव भोलें शंकर प्यारे,
भक्तों के हैं रखवाले।----------
शिव शंकर ने आकर देखा,
उबल रहा विष सारा।
शिव ने कंठ में विष को उतारा,
नीलकंठ कहलाए शिवजी,
महाकाल कहलाए,
सारे देवों को भी तारा।
शिव को वंदन करो,
इनका पूजन करो,
हम सबको तारो जैसे,
देवों को तारा।
शिव भोले शंकर प्यारे,
भक्तों के हैं रखवाले।
मन से जो इनको ध्यावे,
भव से ये पार लगावे।
देवों ने इन्हें पुकारा,
भोले विष पी गए सारा।
अमृत देवों को देकर,
दानव संहारे।
शिव भोले शंकर प्यारे,
भक्तों के हैं रखवाले।
Shiv Bhole Shankar Pyare | By Sanjay Chauhan |
Shiv Bhole Shankar Pyare,
Bhakton ke hain Rakhwale.
Man se jo inko dhyave,
Bhav se ye paar lagave.
Devon ne inhein pukara,
Bhole vish pee gaye saara.
Amrit devon ko dekar,
Daanav sanhaare.
Shiv Bhole Shankar Pyare,
Bhakton ke hain Rakhwale.
Sheshnaag ki rajju banai,
Sumeru ki mathani phere.
Devta saare milke,
Saagar manthan hone lage.
Agni prakati jal se,
Vishnu mathani pherte jaave.
Vish ubalne laga,
Tan bhi jalne laga.
Vishnu bhagwan ko aakar,
Kaun bachaaye?
Shiv Bhole Shankar Pyare,
Bhakton ke hain Rakhwale.
Haahaakaar macha devon mein,
Amrit kaise bachaave?
Na ye vish mein hi mil jaave.
Narad ne aakar samjhaaya,
"Jao Shiv ki sharan mein,
Shiv hi sankat saara mitaave."
Saare naman karein,
Shiv ka dhyan dhare.
Shiv Bhole vish se na ye,
Srishti jal jaaye.
Shiv Bhole Shankar Pyare,
Bhakton ke hain Rakhwale.
Shiv Shankar ne aakar dekha,
Ubal raha vish saara.
Shiv ne kanth mein vish ko utaara,
Neelkanth kehlaaye Shivji,
Mahakaal kehlaaye,
Saare devon ko bhi taara.
Shiv ko vandan karo,
Inka poojan karo,
Hum sabko taaro jaise,
Devon ko taara.
Shiv Bhole Shankar Pyare,
Bhakton ke hain Rakhwale.
Man se jo inko dhyave,
Bhav se ye paar lagave.
Devon ne inhein pukara,
Bhole vish pee gaye saara.
Amrit devon ko dekar,
Daanav sanhaare.
Shiv Bhole Shankar Pyare,
Bhakton ke hain Rakhwale.