श्याम जबसे साथी बना | By Dalip Goswami
Shyam Jabse Saathi Bana | By Dalip Goswami
Shyam Jabse Saathi Bana
Sankat Se Hum Ab Na Darte Hain
Hum To Baba Ke Bharose Chalte Hain
Khatu Wale Ke Bharose Chalte Hain
Inki Hi Rehmat Se Parivaar Hum Sabke Palte Hain
Hum To Baba Ke Bharose Chalte Hain
Khatu Wale Ke Bharose Chalte Hain
Shyam Ka Hai Sahara Varna Kya Hai Hamara
Lakh Gehri Ho Nadiyan Shyam Dega Kinara
Man Mein Vishwas Hai Ye Mere Saath Hai
Lehro Ki Phir Bhala Kya Auqaat Hai
Toofano Mien Deepak Inki Kripa Se Jalte Hain
Hum To Shyam Ke Bharose Chalte Hain
Apne Baba Ke Bharose Chalte Hain
Duniya Chahe Sataye Apne Chahe Rulaaye
Ghaav Mujhko Kya Denge Shyam Marham Jo Lagayen
Kanato Ki Raah Par Phool Bichh Jayenge
Mehkega Ye Chaman Din Badal Jayenge
Aankhen Jo Phere The Milne Ko Ab Wo Taraste Hain
Hum To Shyam Ke Bharose Chalte Hain
Apne Baba Ke Bharose Chalte Hain
Tujhse Dil Jo Lagaya Humne Dhokha Na Khaya
Ungli Tumne Pakad Kar Humko Chalna Sikhaya
Jaise Ugte Suraj Ko Namaskaar Hai
Waise Hi Ab Mera Tu Hi Sansar Hai
Chamke Wahi Duniya Mein Jis Par Kripa Ye Karte Hain
Hum To Shyam Ke Bharose Chalte Hain
Apne Baba Ke Bharose Chalte Hain